mein roj ki tarah kal apna gmail account check kar raha tha to meine dekha ki mere ek kareebi dost ka email aaya hai, meine email kholke dekha to mujhe 3 ashcharyachakit batein pata chali .pehhli ki india mein kahin kisi dr. ne apne ghar barso se pooji jane wali teen murtiyo ki barso se pooji jane wali murtiyon se dhool hata kar dekhi , to unmein se itni tej roshni nikalne lagi ki poora ghar prakashmayi ho gaya , ghar mein itni roshni cha gayi ki ghar mein jalne wale tubelight bulb ki roshni feeki pad gayi , dr. ne dhyan se dekha to woh murti teen bade bade heeron se bani thi, kohinoor se kayi guna jyada bade heere . woh murtiyan Dr. ne bharat sarkaar ko gift kar di . aur ab woh murti swiss bank mein hai.world bank ke paas itna paisa nahi hai ki use khareed sake , world bank ne humare pm. dr. manmohan singh ko yeh offer diya hai ki , hum woh heere khareed to sakte hain par kishton mein . mein to khush ho gaya ,mein nahi janta ki shareer mein bachein kahan hoti hain par woh khil gayi . fir meine dusri khabar padhi to usmein likha tha ki Indore ke ek 12vi class ke ladke ne newton ki theory of relativity ko galat sabit kar diya . mera matha garv se itna chamakne laga ki computer se nikalti roshni feeki padne lagi , chaati garv se itni chaudi ho gayi ki meri shirt ka pehla button toot gaya , aur mein sochne laga ki bharat ki ajaadi ki 63vi varshganth par isse bada tohfa kya ho sakta hai ,ab bharat ke bure din samapt , ab humare desh mein ek bhi gareeb nahi rahega , kahin bhi paison ko lekar markaat nahi hogi , ab to har cheej sasti ho jayegi ,kisaan apne khet chodkar seheron mein basna chod deinge , ek bhi admi footpath pe nahi soyega, loot paat bhi shaayad band ho jaye , jab sabki tankhwah badh jayegi to shayad ghoos khori bhi band ho jaye,america ki tanashahi se bacheinge , pakistan ka ilaaj karne mein bhi shaksham ho jayeinge , aur apna desh vishva ka sabse shaktishali desh hoga , hum bhi developing nations ki soochi se nikal kar developed nations ki soochi mein aajayeinge . mein sapno mein itna kho gaya ki ab bharat ki apni khudki airline hogi jiska pehla stopage earth mein bharat , dusra moon , teesra mars ,chautha venus , panchwa jupitor hoga . ab hogi tarakki , wah bhagwan wah , sahi kaha hai kisi ne , tere ghar mein der hai par andher nahi .ab meine socha next email padhta hun par meine dekha ki pehle email mein kuch dota bane hue hain , jo neeche tak jaa rahe hain,mein neeche badhta gaya ,neeche jakar dekha to bada bada likha tha "YEH SAB JHOOT HAI" . Mere hosh fakta ho gaye , sapno ki airlines seedha mere sir pe aake giri , mere saare sapne choor choor ho gaye , mujhe bahut tej gussa aaya , meine fir kabhi email check na karne ki kasam kha li , computer band kiya aur ek taraf baitha gaya . saamne akhbaar pada tha , socha thoda mind divert ho jayega , akhbaar mein khabar chapi thi , 2011 mein hone waale commonwealth games mein hua karodon ka ghapla , mumbai ki dharavi duniya ka sabse bada slum , karj ke karan kisano ne ki samuhik atmahatya, kashmir ke yuvak laga rahe hain bharat virodhi naare ,"na pakistan chahiye , na hindustan chahiye , humein aman ,chain aur sukoon chahiye" . mera dimag chakra gaya , abhi abhi to in sabhi samasyaon ka nidan ho gaya tha , pao ek jhoot chalawa nikla .upar se desh ki yeh halat .ab mujhe araam chahiye tha .socha tv khol leta hun shayad kuch araam mile. tv ke khulte hi ek adhnange paridhan mein khadi ladki ne bolna shuru kar diya "katrina ne kiya sallu se shdi ko inkaar , kaha kuch aur samay chahiye" , "rakhi sawant kareingi ab tak ka sabse hot item song" , emotonal atyachar mein delhi ke ek ladke ke ek sath 20 affairs ka khulasa " , mein jhat tv remote pe bana laal button daba diya, aur sir mein ho rahe dard se nijaat paane ke liye ek crocin kha li aur sone ke liye let gaya . par dimag mein chal rahe sawalon ne apna varchasva kayam rakha , ki kya hoga humare desh ka?kab hoga kashmir samasya ka samadhan, kab neta log apne fayde ke liye logo ko alag rajya banane ke liye bhadkana band kareinge, kab yeh log samjheinge ki jin rupyo ko mala mein peerokar in logo ka adar samman kiya jata hai un rupyo se kitne gareebon ka ghar chal sakta hai,kab yeh log samjheinge kitum agar sansad mein note uchaloge to humare bacchon pe kya asar padega, kab tak badi sankhya mein humare naujawaan kabhi atankwadiyo to kabhi maowadiyo ke hathon maare jayeinge ,fir meine socha ki kal 15 aug. hai aur kal hi yeh sab sawaal mein aap logo ke saamne rakhunga , aur apne desh ke saamne hath jodkar vinti karunga ki desh ko bacha lo , warna yeh desh andhkaar ki itni andhi khayi mein gir jayega ki tab sambhalna mushkil ho jayega . to aiye hum sab yeh kasam khayein , yeh pran lein ki kam se kam hum apne hisse ki jimmedari jo humein desh ke prati banti hai use samjhein ,aur pehle apne aur apne baccho ke charitra ka nirman itna majboot karein ki bhavishya mein humein aur inhein duniya ki koi takat galat kaam karne pe majboor na kar sake. Jai Hind
v khol lun
No comments:
Post a Comment